Skip to main content

Pitru Moksh Amavasya Ke Liye Totkay

Pitru Moksh Amavasya Ke Liye Totkay, kaise kare pitro ko khush, kaise door kare durbhagya, kaise prapt kare pitro ka ashirvaad asaan totko se, sarwpitru amavasya.

Pitru paksh ka antim din hota hai SARWAPITRU MOKSH AMAVASYA. Ye din bahut mahattwpoorn hota hai, is din log vibhinn prakaar ke poojaaye karte hain taki pitaro ko santusht kiya jaa sake aur jivan ko sukhi kiya jaa sake.
pitru moksh amavasya totkay by astrologer
Pitru Moksh Amavasya Ke Liye Totkay
Agar koi kisi ka shraadh kisi tithi me nahi kiya hai to wo pitru amavasya ko unke nimitt shraadh karke laabh utha sakta hai.

Agar kisi ko apne kisi poorwaj ke mrityu tithi ka pata na ho to bhi wo sarwapitru amavasya ko unke nimitt pooja paath aadi kar sakta hai.

Pitru moksh amavasya ko pitaro ke nimitt tarpan karne se pitro ki kripa prapt hoti hai. 
Jo log pitru moksh amavasya ko pitro ke nimitt pooja, tarpan, bhojan aadi nikaalte hain, daan dete hain unke jivan me khushiyan aati hai, badhaaye nasht hoti hai, dharm, arth, kaam aur moksh ki prapti hoti hai.

Sarwapitru moksh amavasya ko pitru dosh shanti ki pooja hoti hai, pret shanti pooja hoti hai, kale jaadu se mukti paane ke liye bhi karm kaand hote hai, vishesh utaare hote hain aadi. 
Jyotishgan bhi is amavasya ko vishesh pooja aradhna karne ki salaah apne jajmaano ko dete hai. 

Aaiye ab jante hain kuch Totke Pitru Moksh Amavasya Ke liye:

  1. Apne pitro ke naam se tarpan jarur kijiye, isse divangat aatmaao ko shanti prapt hoti hai aur badle me wo ashirvaad dete hain. 
  2. Sarwapitru amavasya ko gaay ko, kutte ko , kauye ko, jaruratmando ko awashya bhojan, kapde aur any jarurat ki cheeje daan me dijiye. 
  3. Is amavasya ko apne se bado, bujurgo, brahmano ka ashirwaad jarur le.
  4. Kisi puraane ghane peepal vriksh ki pooja kare, pooja me safed mithaai prayog kare, jal chada ke dhoop, deep, bhog lagaaye aur uski 8 parikrama lagaaye aur safal jivan ke liye prarthna kare. 
  5. Agar aapke ghar par najar dosh se pareshaani ho to sarwapitru amavasya ko nariyal, nimbu se utara kare aur chouraahe par fek de, pure ghar me ganga jal chidke aur dhoop de. 
  6. Is amavasya ko pure ghar ki vishesh safaai karke daridrata ko baahar nikaal de, pure ghar me dhoop-deep dikhaaye aur pure ghar me kapoor chidke.
  7. Pitro ko prasann karne ke liye Dakshin paschim kone me kesar ki dhoop de. 
  8. Is din Pitro ke nimitt Rudrabhishek karne se bhi bahut laabh hota hai.
Atah pitru moksh amavasya ka pura laabh uthaaye aur jivan ko samruddh banaaye.

Sabhi Pitro Ki Kripa Prapt Kare, Yahi Shubhkaamnaaye. 

Contact astrologer for detail analysis of your horoscope--



Pitru Moksh Amavasya Ke Liye Totkay, kaise kare pitro ko khush, kaise door kare durbhagya, kaise prapt kare pitro ka ashirvaad asaan totko se, sarwpitru amavasya.

Comments

Best astrology services

om kleem krishnaay namah mantra significance

om kleem krishnaya namaha significance, spell for love attraction, om kleem krishnaya namah benefits for love, kleem mantra effects in how many days, om kleem krishnaya namaha 108 times, how to chant this spell for best result. The Om Kleem Krishnaya Namaha mantra is a powerful mantra that is used to invoke the blessings of Lord Krishna. It is a combination of the Sanskrit syllables Om, Kleem, and Krishnaya, each of which has its own significance. Om: Om is the sacred syllable of Hinduism, and it is said to represent the Supreme Being. It is often used to start and end mantras, and it is said to help the practitioner to connect with the divine. Kleem: Kleem is a bija mantra, or seed syllable, that is associated with the goddess Kali. It is said to represent the power of creation and destruction, and it is often used to invoke the blessings of Kali. Krishnaya: Krishnaya is a name of Lord Krishna, and it is said to represent his compassion, love, and sweetness. om kleem krishnaay

NO

no You have got answer No. Now take decision as per your wish. Check Again

om kreem kalikaaye namah mantra benefits

om kreem kalikaaye namah mantra benefits, How can I please Mahakali/Mata Kali?, Benefits of chanting mahakali mantra. Goddess kali is the incarnation of durga and she is capable to eradicate the negative energies, evil eye effects, kala jadu, black magic etc.  Kali mata is very aggressive and so people fear of her but there is not need to think negative of her because mother don’t harm anyone, she just protect devotees from evil energies.  benefits of om kreem kalikaaye namah mantra हिंदी में पढ़िए  ॐ क्रीं कालिकाये नमः मंत्र के लाभ Let’s see the benefits  of chanting Om kreem kalikaaye namah mantra : Meaning of kreem mantra: Kreem is a beeja mantra of goddess Kali, yogis and saints practice this beej-mantra to seek blessings of goddess. This divine beeja-mantra invokes the blessings of goddess kali and bless the devotee with health, wealth and salvation.  Benefits of chanting ऊँ क्रीं कालिकायै नमः – This mantra is very powerful and is capable to to transform the life of ch